shaffaf sath-e-ab ka manzar kahan gaya
shaffāf sat.h-e-āb kā manzar kahāñ gayā
ā.īna chuur chuur hai patthar kahāñ gayā
rauzan khulā thā dil kā havā.eñ bhī aa.ī thiiñ
lekin qarīb-tar thā jo dilbar kahāñ gayā
ik vo ki jis ko fursat lutf-o-karam nahīñ
ik maiñ ki sochtā huuñ sitamgar kahāñ gayā
siine se us kā haath haTānā muhāl thā
jaate hue vo haath hilā kar kahāñ gayā
pahle yahī taḌap thī ki dastār kyuuñ girī
aur ab ye sochtā huuñ mirā sar kahāñ gayā
ghar meñ huuñ aur soch rahā huuñ na jaane kyuuñ
dīvār-o-dar vahī haiñ mirā ghar kahāñ gayā
sāhil pe aa ke sochnā 'anjum' fuzūl hai
kashtī kahāñ ga.ī vo samundar kahāñ gayā
shaffaf sath-e-ab ka manzar kahan gaya
aaina chur chur hai patthar kahan gaya
rauzan khula tha dil ka hawaen bhi aai thin
lekin qarib-tar tha jo dilbar kahan gaya
ek wo ki jis ko fursat lutf-o-karam nahin
ek main ki sochta hun sitamgar kahan gaya
sine se us ka hath haTana muhaal tha
jate hue wo hath hila kar kahan gaya
pahle yahi taDap thi ki dastar kyun giri
aur ab ye sochta hun mera sar kahan gaya
ghar mein hun aur soch raha hun na jaane kyun
diwar-o-dar wahi hain mera ghar kahan gaya
sahil pe aa ke sochna 'anjum' fuzul hai
kashti kahan gai wo samundar kahan gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.