shafiq mausamon ko humne ru siyah kiya
shafīq mausamoñ ko ham ne rū siyāh kiyā
zamīñ ko gardishoñ kā markaz-e-nigāh kiyā
pakaḌ ke ḳhud ko gale se savāl kartā huuñ
harā-bharā ye jahāñ kis liye tabāh kiyā
jabīñ ko chuum ke maiñ ne ulūhī lamhoñ meñ
tumhāre dil ko mohabbat kī bārgāh kiyā
azaab aa gayā sar par to ab gila kaisā
tumheñ havā ne ka.ī baar intibāh kiyā
banā.eñ haath ko kaasa to hairateñ kaisī
hamī ne murda zamīroñ ko bādshāh kiyā
murād māñgtī haiñ roz chuum kar chehra
javān beToñ ko maaoñ ne ḳhānqāh kiyā
shafiq mausamon ko hum ne ru siyah kiya
zamin ko gardishon ka markaz-e-nigah kiya
pakaD ke KHud ko gale se sawal karta hun
hara-bhara ye jahan kis liye tabah kiya
jabin ko chum ke main ne uluhi lamhon mein
tumhaare dil ko mohabbat ki bargah kiya
azab aa gaya sar par to ab gila kaisa
tumhein hawa ne kai bar intibah kiya
banaen hath ko kasa to hairaten kaisi
hami ne murda zamiron ko baadshah kiya
murad mangti hain roz chum kar chehra
jawan beTon ko maon ne KHanqah kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.