shafqat ke aas-pas murawwat ke aas-pas
shafqat ke ās-pās muravvat ke ās-pās
pāoge ham ko sirf mohabbat ke ās-pās
pahchān lenā bas vahī mahbūb hai mirā
mil jaa.e aap ko jo nazākat ke ās-pās
ye kyā ki aaj aap kahīñ bhī nahīñ mile
ḳhalvat ke ās-pās na jalvat ke ās-pās
in ko kahīñ bhī le chalūñ koī samāñ dikhā.ūñ
phirtī haiñ āñkheñ bas tirī sūrat ke ās-pās
tere sivā koī bhī tamanna nahīñ mujhe
rahtā hai tū hī to mirī hasrat ke ās-pās
kyā yūñhī lahja hai mirā is darja dil-navāz
rahtā huuñ ik sarāpā-nafāsat ke ās-pās
mahsūs kartā huuñ maiñ tujhe ai mire habīb
har dil-fareb nik.hat-o-zīnat ke ās-pās
shafqat ke aas-pas murawwat ke aas-pas
paoge hum ko sirf mohabbat ke aas-pas
pahchan lena bas wahi mahbub hai mera
mil jae aap ko jo nazakat ke aas-pas
ye kya ki aaj aap kahin bhi nahin mile
KHalwat ke aas-pas na jalwat ke aas-pas
in ko kahin bhi le chalun koi saman dikhaun
phirti hain aankhen bas teri surat ke aas-pas
tere siwa koi bhi tamanna nahin mujhe
rahta hai tu hi to meri hasrat ke aas-pas
kya yunhi lahja hai mera is darja dil-nawaz
rahta hun ek sarapa-nafasat ke aas-pas
mahsus karta hun main tujhe ai mere habib
har dil-fareb nikhat-o-zinat ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.