shaghl hai mera safar mein rahna
shaġhl hai merā safar meñ rahnā
merī aadat nahīñ ghar meñ rahnā
kitnā āsān samajhte haiñ log
sohbat-e-ā.ina-gar meñ rahnā
log ā.eñge chale jā.eñge
tū magar merī nazar meñ rahnā
apne andar bhī anā paidā kar
chhoḌ ġhairoñ ke asar meñ rahnā
qurbateñ itnī subuk haiñ jaise
ḳhushbuoñ kā gul-e-tar meñ rahnā
hai alāmāt-e-hunar meñ shāmil
band āñkhoñ kā safar meñ rahnā
maiñ kisī dil meñ rahūñgā 'aḳhtar'
kyā kisī rāhguzar meñ rahnā
shaghl hai mera safar mein rahna
meri aadat nahin ghar mein rahna
kitna aasan samajhte hain log
sohbat-e-aina-gar mein rahna
log aaenge chale jaenge
tu magar meri nazar mein rahna
apne andar bhi ana paida kar
chhoD ghairon ke asar mein rahna
qurbaten itni subuk hain jaise
KHushbuon ka gul-e-tar mein rahna
hai alamat-e-hunar mein shamil
band aankhon ka safar mein rahna
main kisi dil mein rahunga 'aKHtar'
kya kisi rahguzar mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.