shaghl mai chhoDiye uTh aaiye mai-KHanon se
shaġhl mai chhoḌiye uTh aa.iye mai-ḳhānoñ se
sho.ale kuchh duur nahīñ aap ke aivānoñ se
dekhnā rañg-e-gulistāñ hī badal Dāleñge
ab ke palTe jo ye dīvāne bayābānoñ se
mutma.in aap na hoñ bhej ke zindāñ meñ hameñ
inqilābāt uThā karte haiñ zindānoñ se
vaqt kī baat qafas meñ bhī Thikāna na rahā
ho chalā thā hameñ jab uns nigahbānoñ se
sāġhar-e-zabt chhalakne ko hai ai ahd shikan
dil bahaltā nahīñ TuuTe hue paimānoñ se
na mohabbat na muravvat na hamiyyat na ḳhulūs
aaj insāñ nazar aate nahīñ insānoñ se
aag ye kis ne bahāroñ meñ lagā dī 'at.har'
uTh rahā hai ye dhuāñ kaisā gulistānoñ se
shaghl mai chhoDiye uTh aaiye mai-KHanon se
shoale kuchh dur nahin aap ke aiwanon se
dekhna rang-e-gulistan hi badal Dalenge
ab ke palTe jo ye diwane bayabanon se
mutmain aap na hon bhej ke zindan mein hamein
inqilabaat uTha karte hain zindanon se
waqt ki baat qafas mein bhi Thikana na raha
ho chala tha hamein jab uns nigahbanon se
saghar-e-zabt chhalakne ko hai ai ahd shikan
dil bahalta nahin TuTe hue paimanon se
na mohabbat na murawwat na hamiyyat na KHulus
aaj insan nazar aate nahin insanon se
aag ye kis ne bahaaron mein laga di 'athar'
uTh raha hai ye dhuan kaisa gulistanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.