shaguft-e-ab se miTTi ko aaina karte
shaguft-e-āb se miTTī ko aa.ina karte
charāġh sard na hote to zamzama karte
bahut se rañg bhī rakhte haiñ tāqat-e-parvāz
havā meñ sirf parinde nahīñ uḌā karte
asar na lījiye is garm-o-sard kā dil par
ki shor-o-shar se pareshāñ nahīñ huā karte
bañdhe hue the mire haath bhī tumhārī tarah
vafā sarisht meñ hotī to ham vafā karte
zamīn oḌh ke so.e haiñ sāhibān-e-ishq
ab us galī ke darīche nahīñ khulā karte
ajiib pyaas thī us dil-rubā kī āñkhoñ meñ
ham un ko chuum na lete to aur kyā karte
bahut kushāda thī ye arz-e-pāk un par bhī
agar vo ghar se nikalne kā hausla karte
jagah na dete kisī ḳhauf ko kabhī dil meñ
kisī se ishq jo karte to barmalā karte
agar ḳharāb hue mehr-o-māh ke hāthoñ
kisī charāġh ke haq meñ to kuchh duā karte
ḳhayāl un ko na hotā agar mohabbat kā
kabhī vo niiñd meñ chalte na rat-jagā karte
badal diyā hai zamāne ne us ko bhī 'sājid'
phir ek baar kabhī us se rābta karte
shaguft-e-ab se miTTi ko aaina karte
charagh sard na hote to zamzama karte
bahut se rang bhi rakhte hain taqat-e-parwaz
hawa mein sirf parinde nahin uDa karte
asar na lijiye is garm-o-sard ka dil par
ki shor-o-shar se pareshan nahin hua karte
bandhe hue the mere hath bhi tumhaari tarah
wafa sarisht mein hoti to hum wafa karte
zamin oDh ke soe hain sahiban-e-ishq
ab us gali ke dariche nahin khula karte
ajib pyas thi us dil-ruba ki aankhon mein
hum un ko chum na lete to aur kya karte
bahut kushada thi ye arz-e-pak un par bhi
agar wo ghar se nikalne ka hausla karte
jagah na dete kisi KHauf ko kabhi dil mein
kisi se ishq jo karte to barmala karte
agar KHarab hue mehr-o-mah ke hathon
kisi charagh ke haq mein to kuchh dua karte
KHayal un ko na hota agar mohabbat ka
kabhi wo nind mein chalte na rat-jaga karte
badal diya hai zamane ne us ko bhi 'sajid'
phir ek bar kabhi us se rabta karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.