shaguft-e-ghuncha-e-mahtab kaun dekhega
shaguft-e-ġhuncha-e-mahtāb kaun dekhegā
maiñ so gayā to mire ḳhvāb kaun dekhegā
kab ā.eñgī vo ghaTā.eñ jinheñ barasnā hai
mire chaman tujhe shādāb kaun dekhegā
ye bāda-ḳhvār nahīñ dekhte haram hai ki dahr
tumhārī bazm ke ādāb kaun dekhegā
jo shahr ho ga.e ġhārat vo kis ne dekhe haiñ
jo hone vaale haiñ ġharqāb kaun dekhegā
banā rahā huuñ safīna ki 'saif' mere ba.ad
bachegā kaun ye sailāb kaun dekhegā
shaguft-e-ghuncha-e-mahtab kaun dekhega
main so gaya to mere KHwab kaun dekhega
kab aaengi wo ghaTaen jinhen barasna hai
mere chaman tujhe shadab kaun dekhega
ye baada-KHwar nahin dekhte haram hai ki dahr
tumhaari bazm ke aadab kaun dekhega
jo shahr ho gae ghaarat wo kis ne dekhe hain
jo hone wale hain gharqab kaun dekhega
bana raha hun safina ki 'saif' mere baad
bachega kaun ye sailab kaun dekhega
- Book : Kaf-e-gulfarosh (Pg. 28)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.