shagufta aaj kuchh dil ki kali malum hoti hai
shagufta aaj kuchh dil ki kali malum hoti hai
Mohammad Naeemullah Khayali
MORE BYMohammad Naeemullah Khayali
shagufta aaj kuchh dil kī kalī ma.alūm hotī hai
bahār-e-ḳhanda-e-gul zindagī ma.alūm hotī hai
vo mere dil kī kahte haiñ maiñ un ke dil kī kahtā huuñ
mohabbat ittifāq-e-bāhamī ma.alūm hotī hai
mukar jaa.eñ vo va.ade se mujhe bāvar nahīñ aatā
ḳhilāf-e-shān ḳhū ye husn kī ma.alūm hotī hai
vahī din haiñ vahī rāteñ vahī ham hai vahī bāteñ
magar phir bhī kisī shai kī kamī ma.alūm hotī hai
nasīm aa.ī bahār aa.ī payām-e-jāñ-fizā laa.ī
'ḳhayālī' zindagī ab zindagī ma.alūm hotī hai
shagufta aaj kuchh dil ki kali malum hoti hai
bahaar-e-KHanda-e-gul zindagi malum hoti hai
wo mere dil ki kahte hain main un ke dil ki kahta hun
mohabbat ittifaq-e-bahami malum hoti hai
mukar jaen wo wade se mujhe bawar nahin aata
KHilaf-e-shan KHu ye husn ki malum hoti hai
wahi din hain wahi raaten wahi hum hai wahi baaten
magar phir bhi kisi shai ki kami malum hoti hai
nasim aai bahaar aai payam-e-jaan-fiza lai
'KHayali' zindagi ab zindagi malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.