shah-e-rag se bhi tu qarib hai tera ye karam hai kamal hai
shah-e-rag se bhī tū qarīb hai tirā ye karam hai kamāl hai
ye jo ḳhaak meñ bhī hai raushnī tirā aks-e-rū-e-jamāl hai
ise chāhatoñ kā kahūñ asar ki tū saath mere hai har Dagar
tujhe zarre zarre kī hai ḳhabar ki tū aap apnī misāl hai
mirī ḳhaak kyā mirī zaat kyā mirā 'aks tak hai finā-sifat
tire tāj-e-shāhī kī baat kyā na fanā use na zavāl hai
ye jo 'āshiqī kī hai rahguzar hai bahut kaThin mire ham-safar
na rakheñ sambhal ke qadam agar chale vaqt ulTī hī chaal hai
tire qurb meñ bhī haiñ dūriyāñ tirā kuchh 'ajab sā sulūk hai
vo sukūñ jo thā tire qurb meñ vahī aaj ḳhvāb-o-ḳhayāl hai
vo rafīq kitnā badal gayā na kare hai zikr kabhī mirā
use kyā huā use kyā huā mire zehn meñ ye savāl hai
vo sharārteñ vahī shoḳhiyāñ mire ahd-e-tifl ke qahqahe
kahīñ kho ga.e mire rāt-din isī baat kā to malāl hai
vo Darī Darī sī mohabbateñ ki haiñ yaad mujh ko vo sā.ateñ
vo jo chāhatoñ meñ thiiñ lazzateñ vo ḳhayāl-e-jāñ kā vabāl hai
usī chārāgar kī talāsh hai kare manziloñ ko jo rū-ba-rū
usī rahnumā kī hai justujū usī rāhbar kā savāl hai
thiiñ jo qurbateñ bane fāsle vo kahāñ haiñ pahle se silsile
nahīñ sahl 'ishq ke marhale tire ā.īne meñ jo baal hai
koī ḳhvāb hai ki gumān hai ye jo zikr-e-kaun-o-makān hai
jo ye 'shamsa' husn-e-bayān hai tire rab kā baḳhshā kamāl hai
shah-e-rag se bhi tu qarib hai tera ye karam hai kamal hai
ye jo KHak mein bhi hai raushni tera aks-e-ru-e-jamal hai
ise chahaton ka kahun asar ki tu sath mere hai har Dagar
tujhe zarre zarre ki hai KHabar ki tu aap apni misal hai
meri KHak kya meri zat kya mera 'aks tak hai fina-sifat
tere taj-e-shahi ki baat kya na fana use na zawal hai
ye jo 'ashiqi ki hai rahguzar hai bahut kaThin mere ham-safar
na rakhen sambhal ke qadam agar chale waqt ulTi hi chaal hai
tere qurb mein bhi hain duriyan tera kuchh 'ajab sa suluk hai
wo sukun jo tha tere qurb mein wahi aaj KHwab-o-KHayal hai
wo rafiq kitna badal gaya na kare hai zikr kabhi mera
use kya hua use kya hua mere zehn mein ye sawal hai
wo shararten wahi shoKHiyan mere ahd-e-tifl ke qahqahe
kahin kho gae mere raat-din isi baat ka to malal hai
wo Dari Dari si mohabbaten ki hain yaad mujh ko wo saaten
wo jo chahaton mein thin lazzaten wo KHayal-e-jaan ka wabaal hai
usi chaaragar ki talash hai kare manzilon ko jo ru-ba-ru
usi rahnuma ki hai justuju usi rahbar ka sawal hai
thin jo qurbaten bane fasle wo kahan hain pahle se silsile
nahin sahl 'ishq ke marhale tere aaine mein jo baal hai
koi KHwab hai ki guman hai ye jo zikr-e-kaun-o-makan hai
jo ye 'shamsa' husn-e-bayan hai tere rab ka baKHsha kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.