shahad mein Dube hue kaDwe karele mustarad
shahad meñ Duube hue kaḌve karele mustarad
jo bhī kahiye saaf kahiye pech lachchhe mustarad
chappe chappe par ugā.eñge mohabbat ke gulāb
nafratoñ ke roḌe patthar kiil kāñTe mustarad
dīn-bāzī aur shai hai dīn-dārī aur chiiz
diin ke jubbe meñ lipTe Dhoñg saare mustarad
jin kī buniyādeñ ġharaz kī ret par rakkhī ga.iiñ
is tarah ke sab ta'alluq rishte naate mustarad
chāplūsī aur ḳhushāmad se ibārat jo bhī haiñ
saaf kahtī hai 'tabassum' ye shumāre mustarad
shahad mein Dube hue kaDwe karele mustarad
jo bhi kahiye saf kahiye pech lachchhe mustarad
chappe chappe par ugaenge mohabbat ke gulab
nafraton ke roDe patthar kil kanTe mustarad
din-bazi aur shai hai din-dari aur chiz
din ke jubbe mein lipTe Dhong sare mustarad
jin ki buniyaaden gharaz ki ret par rakkhi gain
is tarah ke sab ta'alluq rishte nate mustarad
chaplusi aur KHushamad se ibarat jo bhi hain
saf kahti hai 'tabassum' ye shumare mustarad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.