shahr ki is bhiD mein hun be-nishan hote hue
shahr kī is bhiiḌ meñ huuñ be-nishāñ hote hue
dekhtā rahtā huuñ ḳhud ko rā.egāñ hote hue
merī is tanhā.ī kī ab koī to tāvīl ho
kyoñ akelā chal rahā huuñ kārvāñ hote hue
maiñ tumhāre ghar meñ ik din raushnī le ā.ūñgā
ik sitāre ne kahā ye mehrbāñ hote hue
har taraf murjhā.ī kaliyāñ har taraf pattoñ kā shor
baaġh kyoñ ujḌā huā hai bāġhbāñ hote hue
kab bhalā fursat milegī fikr-e-duniyā se mujhe
giit kab likkhūñgā 'manzar' shādmāñ hote hue
shahr ki is bhiD mein hun be-nishan hote hue
dekhta rahta hun KHud ko raegan hote hue
meri is tanhai ki ab koi to tawil ho
kyon akela chal raha hun karwan hote hue
main tumhaare ghar mein ek din raushni le aaunga
ek sitare ne kaha ye mehrban hote hue
har taraf murjhai kaliyan har taraf patton ka shor
bagh kyon ujDa hua hai baghban hote hue
kab bhala fursat milegi fikr-e-duniya se mujhe
git kab likkhunga 'manzar' shadman hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.