shahr mein lakh charaghan ho to kya hota hai
shahr meñ laakh charāġhāñ ho to kyā hotā hai
mere ghar meñ vahī miTTī kā diyā hotā hai
dard siine meñ mire jab bhī mahak uThtā hai
zaḳhm yādoñ kā tirī aur harā hotā hai
dāstāñ ġham kī sināoñ ye zarūrī to nahīñ
nafs-e-mazmūn to chehre pe likhā hotā hai
shiddat-e-ġham se na miT jaa.e kahīñ merā vajūd
roz ik ġham mirī chaukhaT pe khaḌā hotā hai
qatl kartā hai vo har roz mujhe qistoñ meñ
mere ehsās meñ jo dard chhupā hotā hai
terī mahfil se nikal jā.ūñ yahī achchhā hai
yahāñ har roz nayā hashr bapā hotā hai
ġharq ho jaa.e na kashtī kahīñ Dar se 'ārif'
nāḳhudā kahtā hai mañjdhār se kyā hotā hai
shahr mein lakh charaghan ho to kya hota hai
mere ghar mein wahi miTTi ka diya hota hai
dard sine mein mere jab bhi mahak uThta hai
zaKHm yaadon ka teri aur hara hota hai
dastan gham ki sinaon ye zaruri to nahin
nafs-e-mazmun to chehre pe likha hota hai
shiddat-e-gham se na miT jae kahin mera wajud
roz ek gham meri chaukhaT pe khaDa hota hai
qatl karta hai wo har roz mujhe qiston mein
mere ehsas mein jo dard chhupa hota hai
teri mahfil se nikal jaun yahi achchha hai
yahan har roz naya hashr bapa hota hai
gharq ho jae na kashti kahin Dar se 'arif'
naKHuda kahta hai manjdhaar se kya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.