shahr mein ole paDe hain sar salamat hai kahan
shahr meñ ole paḌe haiñ sar salāmat hai kahāñ
is qadar hai tez āñdhī ghar salāmat hai kahāñ
raat ne aisī siyāhī ab bikherī chār-sū
aañkh vāloñ ke liye manzar salāmat hai kahāñ
aap kahte haiñ chhupā luuñ apnī uryānī magar
jism se lipTī huī chādar salāmat hai kahāñ
qulqul-e-mīnā se apnī pyaas to bujhtī nahīñ
chuur sab shīshe hue sāġhar salāmat hai kahāñ
reza reza ho ga.ī har shaḳhs kī pākīzgī
sañg-sārī ke liye patthar salāmat hai kahāñ
koī chehra asl sūrat meñ rahe baaqī to kyuuñ
but-shikan ke 'ahd meñ aazar salāmat hai kahāñ
har taraf ik jang kā māhaul hai 'āzam' yahāñ
aadmī ab ghar ke bhī andar salāmat hai kahāñ
shahr mein ole paDe hain sar salamat hai kahan
is qadar hai tez aandhi ghar salamat hai kahan
raat ne aisi siyahi ab bikheri chaar-su
aankh walon ke liye manzar salamat hai kahan
aap kahte hain chhupa lun apni uryani magar
jism se lipTi hui chadar salamat hai kahan
qulqul-e-mina se apni pyas to bujhti nahin
chur sab shishe hue saghar salamat hai kahan
reza reza ho gai har shaKHs ki pakizgi
sang-sari ke liye patthar salamat hai kahan
koi chehra asl surat mein rahe baqi to kyun
but-shikan ke 'ahd mein aazar salamat hai kahan
har taraf ek jang ka mahaul hai 'azam' yahan
aadmi ab ghar ke bhi andar salamat hai kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.