shahr parbat bahr-o-bar ko chhoDta jata hun main
shahr parbat bahr-o-bar ko chhoḌtā jaatā huuñ maiñ
ik tamāshā ho rahā hai dekhtā jaatā huuñ maiñ
hosh uḌtā jā rahā hai garmī-e-raftār meñ
dekhtā jaatā huuñ maiñ aur bhūltā jaatā huuñ maiñ
abr hai aflāk par aur ik sarāsīma qamar
ek dasht-e-rā.egāñ meñ dauḌtā jaatā huuñ maiñ
huuñ makāñ meñ band jaise imtihāñ meñ aadmī
saḳhtī-e-dīvār-o-dar hai jheltā jaatā huuñ maiñ
nam hai mere she'r se us chashm-e-sañg-ālūd meñ
ḳhvāb huuñ us chashm-e-tar meñ phailtā jaatā huuñ maiñ
shauq haiñ kuchh jin ke pīchhe chal rahā huuñ maiñ 'munīr'
rañj haiñ kuchh dil meñ mere khīñchtā jaatā huuñ maiñ
shahr parbat bahr-o-bar ko chhoDta jata hun main
ek tamasha ho raha hai dekhta jata hun main
hosh uDta ja raha hai garmi-e-raftar mein
dekhta jata hun main aur bhulta jata hun main
abr hai aflak par aur ek sarasima qamar
ek dasht-e-raegan mein dauDta jata hun main
hun makan mein band jaise imtihan mein aadmi
saKHti-e-diwar-o-dar hai jhelta jata hun main
nam hai mere she'r se us chashm-e-sang-alud mein
KHwab hun us chashm-e-tar mein phailta jata hun main
shauq hain kuchh jin ke pichhe chal raha hun main 'munir'
ranj hain kuchh dil mein mere khinchta jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.