shahr-badari ke din guzar jate
shahr-badarī ke din guzar jaate
kitnā achchhā thā log ghar jaate
aan de kar ke jaan laa.e ho
kyā ye lāzim nahīñ thā mar jaate
hukm nāfiz thā apne ghar meñ raho
be-gharī ham batā kidhar jaate
mohtasib ne baḌī hī jaldī kī
ain mumkin thā ham sudhar jaate
umr jaisī guzār dī ham ne
tum ko miltī to kab ke mar jaate
hā.e-re iltifāt-e-chārāgar
zaḳhm gahre nahīñ the bhar jaate
log kuchh dekh kar ThiTakte the
aur kuchh soch kar guzar jaate
khā ga.e rog āgahī vaale
varna ḳhush-bāsh din guzar jaate
dil talak aan kar ruke sab khel
kyā mazā thā jo is meñ sar jaate
bair le kar bhī saarī duniyā ke
ik tujhe ham-ḳhayāl kar jaate
nā shu.ūrī meñ ḳhush thī duniyā 'shams'
ham bhī ai kaash be-ḳhabar jaate
shahr-badari ke din guzar jate
kitna achchha tha log ghar jate
aan de kar ke jaan lae ho
kya ye lazim nahin tha mar jate
hukm nafiz tha apne ghar mein raho
be-ghari hum bata kidhar jate
mohtasib ne baDi hi jaldi ki
ain mumkin tha hum sudhar jate
umr jaisi guzar di hum ne
tum ko milti to kab ke mar jate
hae-re iltifat-e-chaaragar
zaKHm gahre nahin the bhar jate
log kuchh dekh kar ThiTakte the
aur kuchh soch kar guzar jate
kha gae rog aagahi wale
warna KHush-bash din guzar jate
dil talak aan kar ruke sab khel
kya maza tha jo is mein sar jate
bair le kar bhi sari duniya ke
ek tujhe ham-KHayal kar jate
na shuuri mein KHush thi duniya 'shams'
hum bhi ai kash be-KHabar jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.