shahr-dar-shahr usi aag ka Dar hota hai
shahr-dar-shahr usī aag kā Dar hotā hai
jis sharāre kā tire lab se guzar hotā hai
talḳhiyāñ dauḌtī phirtī haiñ lahū meñ jin ke
aisī nazroñ meñ kahāñ husn-e-nazar hotā hai
zāviye fikr ke andāz-e-bayāñ kā jaadū
ham-kalāmī kī adā ek hunar hotā hai
bazm-ārā.ī se āñkhoñ meñ kaTī haiñ rāteñ
ik na.ī sub.h kā āġhāz magar hotā hai
chāñd āñgan meñ utar aaya hai ġhamgīñ ho kar
niiñd par bār-e-garāñ pichhlā pahar hotā hai
qāfile jab bhī chale haiñ to gumāñ par hī chale
aur manzil ke yaqīñ par hī safar hotā hai
uljhaneñ DhūñDhtī rahtī haiñ sabab uljhan kā
zehn-e-insān se kis kis kā guzar hotā hai
vo filistīn ho baġhdād yā bastī koī
rāzdāñ sab kā yahāñ āb-e-ḳhizar hotā hai
roz kyoñ qatl huā kartā hai ḳhurshīd yahāñ
roz kyoñ chaak garebān-e-sahar hotā hai
maiñ rivāyāt se mahfūz huuñ kyoñ ki shāhid
Thahre paanī meñ kahāñ koī bhañvar hotā hai
shahr-dar-shahr usi aag ka Dar hota hai
jis sharare ka tere lab se guzar hota hai
talKHiyan dauDti phirti hain lahu mein jin ke
aisi nazron mein kahan husn-e-nazar hota hai
zawiye fikr ke andaz-e-bayan ka jadu
ham-kalami ki ada ek hunar hota hai
bazm-arai se aankhon mein kaTi hain raaten
ek nai subh ka aaghaz magar hota hai
chand aangan mein utar aaya hai ghamgin ho kar
nind par bar-e-garan pichhla pahar hota hai
qafile jab bhi chale hain to guman par hi chale
aur manzil ke yaqin par hi safar hota hai
uljhanen DhunDhti rahti hain sabab uljhan ka
zehn-e-insan se kis kis ka guzar hota hai
wo filistin ho baghdad ya basti koi
raazdan sab ka yahan aab-e-KHizar hota hai
roz kyon qatl hua karta hai KHurshid yahan
roz kyon chaak gareban-e-sahar hota hai
main riwayat se mahfuz hun kyon ki shahid
Thahre pani mein kahan koi bhanwar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.