shahr-e-be-saut mein aman mil jae
shahr-e-be-saut meñ amaañ mil jaa.e
koī patthar mirī taraf hī aa.e
ik fasīl-e-havā na rañg na ruup
ik ḳhayāl-e-ḳhudā mujhe bahkā.e
merā chehra utārne vaalo
merī sūrat kise kise bahlā.e
niilā piilā ġhubār tanhā peḌ
mere āñgan meñ chāñd bhī ghabrā.e
khiḌkiyāñ apne jism kī kholo
kyā ajab dhuup shaam tak aa jaa.e
yaḳh-zada munjamid kohar-ālūd
kaun chaTTān se phisalne paa.e
muztarib raat chashm-e-nam 'īraj'
phuul shabnam ko bhī lahū rulvā.e
shahr-e-be-saut mein aman mil jae
koi patthar meri taraf hi aae
ek fasil-e-hawa na rang na rup
ek KHayal-e-KHuda mujhe bahkae
mera chehra utarne walo
meri surat kise kise bahlae
nila pila ghubar tanha peD
mere aangan mein chand bhi ghabrae
khiDkiyan apne jism ki kholo
kya ajab dhup sham tak aa jae
yaKH-zada munjamid kohar-alud
kaun chaTTan se phisalne pae
muztarib raat chashm-e-nam 'iraj'
phul shabnam ko bhi lahu rulwae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.