Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-dil be shabab hai kam hai

Abu Leveeza Ali

shahr-e-dil be shabab hai kam hai

Abu Leveeza Ali

MORE BYAbu Leveeza Ali

    shahr-e-dil be shabāb hai kam hai

    jitnī hālat ḳharāb hai kam hai

    tujh ko singār zarūrat kyā

    par ziyā ruḳh kitāb hai kam hai

    us tajallī pe parda rakhne ko

    ye jo ruḳh par hijāb hai kam hai

    terī duniyā ke jo divāne haiñ

    un ḳhāna-ḳharāb hai kam hai

    ek ummīd dil hai mushkil

    chashm qaid-e-sarāb hai kam hai

    zindagī tujh pe kyoñ marā jaa.e

    ye jo jiinā 'azāb hai kam hai

    mai-kashī gar 'ilāj-e-ġham Thahrī

    phir to jitnī sharāb hai kam hai

    ik taḳh.īl se is dil

    ye jo hālat ḳharāb hai kam hai

    zabt ḳhud pe ajr hai lekin

    jitnā us savāb hai kam hai

    kar do masla hamāre lāshe

    gar ye hukm-e-janāb hai kam hai

    shahr tīrgī miTāne ko

    haath meñ āftāb hai kam hai

    shahr-e-dil be shabab hai kam hai

    jitni haalat KHarab hai kam hai

    tujh ko singar ki zarurat kya

    par ziya ruKH kitab hai kam hai

    us tajalli pe parda rakhne ko

    ye jo ruKH par hijab hai kam hai

    teri duniya ke jo diwane hain

    un ka KHana-KHarab hai kam hai

    ek ummid dil ki hai mushkil

    chashm qaid-e-sarab hai kam hai

    zindagi tujh pe kyon mara jae

    ye jo jina 'azab hai kam hai

    mai-kashi gar 'ilaj-e-gham Thahri

    phir to jitni sharab hai kam hai

    ek taKHil se hi is dil ki

    ye jo haalat KHarab hai kam hai

    zabt ka KHud pe ajr hai lekin

    jitna us ka sawab hai kam hai

    kar do masla hamare lashe ka

    gar ye hukm-e-janab hai kam hai

    shahr ki tirgi miTane ko

    hath mein aaftab hai kam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now