shahr-e-dil bhi sara-e-fani hai
shahr-e-dil bhī sarā-e-fānī hai
ye nishānī ajab nishānī hai
zindagī tum yahīñ kahīñ rahnā
aaj kī raat maut aanī hai
ḳhud-kushī kar ke dil udaas huā
is nadī meñ zarā sā paanī hai
mere andar ye peḌ paude haiñ
aur bāhar kī rut-ḳhizānī hai
maut kī ruuh tak pahuñchnā hai
jaan aise nahīñ gañvānī hai
aa lagā tiir ek siine par
ham ne pūchhā thā bhaa.ī paanī hai
shahr-e-dil bhi sara-e-fani hai
ye nishani ajab nishani hai
zindagi tum yahin kahin rahna
aaj ki raat maut aani hai
KHud-kushi kar ke dil udas hua
is nadi mein zara sa pani hai
mere andar ye peD paude hain
aur bahar ki rut-KHizani hai
maut ki ruh tak pahunchna hai
jaan aise nahin ganwani hai
aa laga tir ek sine par
hum ne puchha tha bhai pani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.