shahr-e-dil phir mera viran hua jata hai
shahr-e-dil phir mirā vīrān huā jaatā hai
ghar kī barbādī kā sāmān huā jaatā hai
ġhāliban phir na.ī uftād paḌī hai dil par
saañs bhī nuuh ko tūfān huā jaatā hai
terī har baat se girtā hai kaleja kaT kar
terā har lafz to paikān huā jaatā hai
hijr kī raat to karvaT meñ guzar jaatī hai
aur din bhī bahut āsān huā jaatā hai
saarā ġham merī hī qismat meñ likhā hai 'saifī'
dil mirā 'mīr' kā dīvān huā jaatā hai
shahr-e-dil phir mera viran hua jata hai
ghar ki barbaadi ka saman hua jata hai
ghaaliban phir nai uftad paDi hai dil par
sans bhi nuh ko tufan hua jata hai
teri har baat se girta hai kaleja kaT kar
tera har lafz to paikan hua jata hai
hijr ki raat to karwaT mein guzar jati hai
aur din bhi bahut aasan hua jata hai
sara gham meri hi qismat mein likha hai 'saifi'
dil mera 'mir' ka diwan hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.