shahr-e-dushman ki badalta hai faza ek hi shaKHs
shahr-e-dushman kī badaltā hai fazā ek hī shaḳhs
ab bhī kartā hai mire haq meñ du'ā ek hī shaḳhs
sāhabo maiñ ne tarāshe nahīñ patthar ke sanam
mere hāthoñ se banā aur banā ek hī shaḳhs
shāh-zādī tujhe mā'lūm nahīñ hai shāyad
khol saktā hai tire band-e-qabā ek hī shaḳhs
merā likkhā to mirī jaañ nahīñ miTne vaalā
maiñ ne kāġhaz pe likhā aur likhā ek hī shaḳhs
chāhtā thā ki khulūñ aur khulūñ aisā khulūñ
mere khulne pe khulā aur khulā ek hī shaḳhs
tujhe mā'lūm nahīñ hai to nahīñ hai phir bhī
tere 'anjum' se milā aur milā ek hī shaḳhs
shahr-e-dushman ki badalta hai faza ek hi shaKHs
ab bhi karta hai mere haq mein du'a ek hi shaKHs
sahabo main ne tarashe nahin patthar ke sanam
mere hathon se bana aur bana ek hi shaKHs
shah-zadi tujhe ma'lum nahin hai shayad
khol sakta hai tere band-e-qaba ek hi shaKHs
mera likkha to meri jaan nahin miTne wala
main ne kaghaz pe likha aur likha ek hi shaKHs
chahta tha ki khulun aur khulun aisa khulun
mere khulne pe khula aur khula ek hi shaKHs
tujhe ma'lum nahin hai to nahin hai phir bhi
tere 'anjum' se mila aur mila ek hi shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.