shahr-e-ghazal mein bikne ko tayyar kaun hai
shahr-e-ġhazal meñ bikne ko tayyār kaun hai
yūsuf nahīñ to zīnat-e-bāzār kaun hai
sab ke laboñ pe na.ara-e-mansūr hai magar
ye dekhnā hai aaj sar-e-dār kaun hai
apnā zamīr jhuuT kabhī boltā nahīñ
tum hī kaho ki sāhab-e-kirdār kaun hai
tark-e-ta.alluqāt ko ik umr ho ga.ī
tanhā.iyoñ meñ mā.il-e-guftār kaun hai
tasvīreñ roz bantī haiñ sheroñ kī shakl meñ
mere tasavvurāt kā shahkār kaun hai
jalne ko sham.a bhī jalī parvāna bhī jalā
kaise kaheñ ki kis kā vafādār kaun hai
ham log ḳhānqāhoñ meñ jā.eñge kis tarah
sab pārsā haiñ ham sā gunahgār kaun hai
ashkoñ ke phuul le ke maiñ niklā to huuñ 'ra.īs'
ye dekhnā hai un kā ḳharīdār kaun hai
shahr-e-ghazal mein bikne ko tayyar kaun hai
yusuf nahin to zinat-e-bazar kaun hai
sab ke labon pe nara-e-mansur hai magar
ye dekhna hai aaj sar-e-dar kaun hai
apna zamir jhuT kabhi bolta nahin
tum hi kaho ki sahab-e-kirdar kaun hai
tark-e-talluqat ko ek umr ho gai
tanhaiyon mein mail-e-guftar kaun hai
taswiren roz banti hain sheron ki shakl mein
mere tasawwuraat ka shahkar kaun hai
jalne ko shama bhi jali parwana bhi jala
kaise kahen ki kis ka wafadar kaun hai
hum log KHanqahon mein jaenge kis tarah
sab parsa hain hum sa gunahgar kaun hai
ashkon ke phul le ke main nikla to hun 'rais'
ye dekhna hai un ka KHaridar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.