shahr-e-jaan par jo teri yaad ka lashkar TuTa
shahr-e-jāñ par jo tirī yaad kā lashkar TuuTā
ek hamle meñ hisār-e-dil-e-ḳhud-sar TuuTā
jaise ik barq sī lahrā.ī pas-e-parda-e-abr
jaise ik chāñd sar-e-shāḳh-e-sanobar TuuTā
aa gayā tā ba girebān-e-shafaq dast-e-sahāb
bām-e-aflāk pe nāhīd kā mehvar TuuTā
mere sāġhar meñ utar aaya kisī shaam kā aks
merī āñkhoñ meñ kisī husn kā nashtar TuuTā
dil kī gahrā.ī meñ phir jaag uThā sho.ala-e-dard
munjamid thā jo mire ġham kā samundar TuuTā
dasht-e-ayyām se lauTī kisī ehsās kī guuñj
ma.abad-e-jāñ meñ kisī vahm kā paikar TuuTā
phir pur-asrār yakā yak huī ḳhāmoshī-e-shab
phir koī jaam kisī haath se gir kar TuuTā
kāsnī dhuup ke aañsū mirī āñkhoñ se bahe
jaise ik mahr-e-daraḳhshāñ mire andar TuuTā
ġhul machāte hue rangoñ ke parinde nikle
sang-e-hairat se jab ā.īna-e-manzar TuuTā
gumbad-e-gosh meñ gūñjī phir ik āvāz-e-shikast
kyā ḳhabar ye mirā dil TuuTā ki sāġhar TuuTā
shahr-e-jaan par jo teri yaad ka lashkar TuTa
ek hamle mein hisar-e-dil-e-KHud-sar TuTa
jaise ek barq si lahrai pas-e-parda-e-abr
jaise ek chand sar-e-shaKH-e-sanobar TuTa
aa gaya ta ba gireban-e-shafaq dast-e-sahab
baam-e-aflak pe nahid ka mehwar TuTa
mere saghar mein utar aaya kisi sham ka aks
meri aankhon mein kisi husn ka nashtar TuTa
dil ki gahrai mein phir jag uTha shoala-e-dard
munjamid tha jo mere gham ka samundar TuTa
dasht-e-ayyam se lauTi kisi ehsas ki gunj
mabad-e-jaan mein kisi wahm ka paikar TuTa
phir pur-asrar yaka yak hui KHamoshi-e-shab
phir koi jam kisi hath se gir kar TuTa
kasni dhup ke aansu meri aankhon se bahe
jaise ek mahr-e-daraKHshan mere andar TuTa
ghul machate hue rangon ke parinde nikle
sang-e-hairat se jab aaina-e-manzar TuTa
gumbad-e-gosh mein gunji phir ek aawaz-e-shikast
kya KHabar ye mera dil TuTa ki saghar TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.