shahr-e-junun mein kal talak jo bhi tha sab badal gaya
shahr-e-junūñ meñ kal talak jo bhī thā sab badal gayā
marne kī ḳhū nahīñ rahī jiine kā Dhab badal gayā
pal meñ havā miTā ga.ī saare nuqūsh nuur ke
dekhā zarā sī der meñ manzar-e-shab badal gayā
merī purānī arz par ġhaur kiyā na jā.egā
yuuñ hai ki us kī bazm meñ tarz-e-talab badal gayā
sā.at-e-ḳhūb vasl kī aanī thī aa nahīñ sakī
vo bhī to vo nahīñ rahā maiñ bhī to ab badal gayā
duurī kī dāstān meñ ye bhī kahīñ pe darj ho
tishna-labī to hai vahī chashma-e-lab badal gayā
mere sivā har ek se duniyā ye pūchhtī rahī
mujh sā jo ek shaḳhs thā patthar meñ kab badal gayā
shahr-e-junun mein kal talak jo bhi tha sab badal gaya
marne ki KHu nahin rahi jine ka Dhab badal gaya
pal mein hawa miTa gai sare nuqush nur ke
dekha zara si der mein manzar-e-shab badal gaya
meri purani arz par ghaur kiya na jaega
yun hai ki us ki bazm mein tarz-e-talab badal gaya
saat-e-KHub wasl ki aani thi aa nahin saki
wo bhi to wo nahin raha main bhi to ab badal gaya
duri ki dastan mein ye bhi kahin pe darj ho
tishna-labi to hai wahi chashma-e-lab badal gaya
mere siwa har ek se duniya ye puchhti rahi
mujh sa jo ek shaKHs tha patthar mein kab badal gaya
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 460)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.