shahr-e-KHisht-o-sang mein rahne laga
shahr-e-ḳhisht-o-sañg meñ rahne lagā
maiñ bhī us ke rañg meñ rahne lagā
pahle to aaseb thā bastī ke beach
ab vo ik ik añg meñ rahne lagā
apnī sulh-e-dostī laa.ī ye rañg
vo musalsal jañg meñ rahne lagā
tab judā hote na the ab fāsla
darmiyāñ farsañg meñ rahne lagā
us se tark-e-guftugū karne ke ba.ad
soz ik āhañg meñ rahne lagā
shahr-e-ḳhush-poshāñ ko 'azmī' chhoḌ kar
vādī-e-be-rañg meñ rahne lagā
shahr-e-KHisht-o-sang mein rahne laga
main bhi us ke rang mein rahne laga
pahle to aaseb tha basti ke beach
ab wo ek ek ang mein rahne laga
apni sulh-e-dosti lai ye rang
wo musalsal jang mein rahne laga
tab juda hote na the ab fasla
darmiyan farsang mein rahne laga
us se tark-e-guftugu karne ke baad
soz ek aahang mein rahne laga
shahr-e-KHush-poshan ko 'azmi' chhoD kar
wadi-e-be-rang mein rahne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.