shahr-e-KHuban se jo hum ab bhi guzar aate hain
shahr-e-ḳhūbāñ se jo ham ab bhī guzar aate haiñ
kitne dhundlā.e hue naqsh ubhar aate haiñ
raat jā chhuptī hai sunsān jazīroñ meñ kahīñ
raat ke ḳhvāb mirī ruuh meñ dar aate haiñ
sehr-andāz hai kyā nīm-nigāhī terī
ek se kāfir-o-dīñ-dār nazar aate haiñ
kis ko sach kahiyegā kis ruup ko jhuTlā.iyegā
aa.ine meñ to ka.ī aks utar aate haiñ
ek muddat se haiñ is shahr meñ ham āvāra
bām-o-dar aaj bhī anjān nazar aate haiñ
vo bulāte to haiñ 'shāhīn' sar-e-bām magar
ham hī kuchh soch ke zīnoñ se utar aate haiñ
shahr-e-KHuban se jo hum ab bhi guzar aate hain
kitne dhundlae hue naqsh ubhar aate hain
raat ja chhupti hai sunsan jaziron mein kahin
raat ke KHwab meri ruh mein dar aate hain
sehr-andaz hai kya nim-nigahi teri
ek se kafir-o-din-dar nazar aate hain
kis ko sach kahiyega kis rup ko jhuTlaiyega
aaine mein to kai aks utar aate hain
ek muddat se hain is shahr mein hum aawara
baam-o-dar aaj bhi anjaan nazar aate hain
wo bulate to hain 'shahin' sar-e-baam magar
hum hi kuchh soch ke zinon se utar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.