shahr-e-nazuk se wo barik saDak jati hai
shahr-e-nāzuk se vo bārīk saḌak jaatī hai
maiñ bas ik paañv Tikātā huuñ taḌak jaatī hai
aur paivast huā jaatā hai patthar meñ charāġh
lag ke us haath se lau aur bhaḌak jaatī hai
maiñ burā chor nahīñ huuñ magar us kūche meñ
dil dhaḌak jaatā hai pā-posh khaḌak jaatī hai
phuul ḳhushbū se bigaḌte haiñ hameñ bhī le chal
aur jhoñke se vo dāman ko jhiḌak jaatī hai
ḳhvāb kā rizq huī jaatī hai bedārī kī umr
niiñd kyā chiiz hai āñkhoñ meñ raḌak jaatī hai
shahr-e-nazuk se wo barik saDak jati hai
main bas ek panw Tikata hun taDak jati hai
aur paiwast hua jata hai patthar mein charagh
lag ke us hath se lau aur bhaDak jati hai
main bura chor nahin hun magar us kuche mein
dil dhaDak jata hai pa-posh khaDak jati hai
phul KHushbu se bigaDte hain hamein bhi le chal
aur jhonke se wo daman ko jhiDak jati hai
KHwab ka rizq hui jati hai bedari ki umr
nind kya chiz hai aankhon mein raDak jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.