shahr-e-nigaran mein phirte hain hum aawara raat Dhale
shahr-e-nigārāñ meñ phirte haiñ ham āvāra raat Dhale
shāyad koī darīcha vā ho shāyad koī diip jale
koī ġham-āgīñ naġhma chheḌe koī 'mīr' ke sher paḌhe
kam kam dard kī kaliyāñ mahkeñ pal pal ġham kī raat Dhale
vīrāñ vīrāñ dil kī bastī suunī suunī rāh-e-vafā
aise kaThin raste pe koī do-chār qadam to saath chale
chaak har ik gul kā dāman aur āvāra har mauj-e-sabā
jaise mujh se mil na sakā ho koī bichhaḌte vaqt gale
ḳhatm huā hai 'ishqī' tum par silsila-e-vahshat-zadagāñ
shāyad koī shaḳhs tumhāre ba.ad vafā kā naam na le
shahr-e-nigaran mein phirte hain hum aawara raat Dhale
shayad koi daricha wa ho shayad koi dip jale
koi gham-agin naghma chheDe koi 'mir' ke sher paDhe
kam kam dard ki kaliyan mahken pal pal gham ki raat Dhale
viran viran dil ki basti suni suni rah-e-wafa
aise kaThin raste pe koi do-chaar qadam to sath chale
chaak har ek gul ka daman aur aawara har mauj-e-saba
jaise mujh se mil na saka ho koi bichhaDte waqt gale
KHatm hua hai 'ishqi' tum par silsila-e-wahshat-zadagan
shayad koi shaKHs tumhaare baad wafa ka nam na le
- Book : Qamat (Pg. 20)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.