shahr-e-tarab mein aaj ajab hadisa hua
shahr-e-tarab meñ aaj ajab hādisa huā
hañste meñ us kī aañkh se aañsū chhalak paḌā
hairān ho ke soch rahā thā ki kyā kahūñ
ik shaḳhs mujh se merā pata pūchhne lagā
haala nahīñ hai ātish-e-furqat kī aañch hai
taarā na thā to chāñd kā pahlū sulag uThā
ab yaad bhī nahīñ ki shikāyat thī un se kyā
bas ik ḳhayāl zehn ke goshe meñ rah gayā
kitne hī taare TuuT ke dāman meñ aa gire
jab chaudhvīñ kā chāñd ghaTāoñ meñ jā chhupā
bād-e-ḳhizāñ chaman se shabistāñ tak aa ga.ī
takiye kā surḳh phuul bhī murjhā ke rah gayā
sochā thā us se duur kahīñ jā baseñge ham
lekin 'sarosh' ham se peshawar na chhuT sakā
shahr-e-tarab mein aaj ajab hadisa hua
hanste mein us ki aankh se aansu chhalak paDa
hairan ho ke soch raha tha ki kya kahun
ek shaKHs mujh se mera pata puchhne laga
haala nahin hai aatish-e-furqat ki aanch hai
tara na tha to chand ka pahlu sulag uTha
ab yaad bhi nahin ki shikayat thi un se kya
bas ek KHayal zehn ke goshe mein rah gaya
kitne hi tare TuT ke daman mein aa gire
jab chaudhwin ka chand ghaTaon mein ja chhupa
baad-e-KHizan chaman se shabistan tak aa gai
takiye ka surKH phul bhi murjha ke rah gaya
socha tha us se dur kahin ja basenge hum
lekin 'sarosh' hum se peshawar na chhuT saka
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 528)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.