shahr-e-wafa mein apna koi aashna na tha
shahr-e-vafā meñ apnā koī āshnā na thā
maiñ thā akelā saath koī rahnumā na thā
rūdād-e-ahd-e-rafta sunā.ī thī maiñ ne jab
aañsū kisī kī aañkh meñ Thahrā huā na thā
sūraj thā apnī fahm kā aisā bujhā bujhā
jaise ki raushnī kā use tajraba na thā
jangal meñ aarzū ke bhaTaktā thā ik gadā
yaad us ko apne shahr-e-amāñ kā pata na thā
maiñ to azal se vaqt ke zindāñ meñ qaid thā
duniyā-e-rang-o-bū se koī rābta na thā
sīñchā thā maiñ ne nahr-e-gumāñ se yaqīñ kā aab
lekin hunar ke khet meñ paudā ugā na thā
ā.īna apne ḳhvāb-e-hasīñ kā thā rū-ba-rū
chehra magar zamīr kā mujh se chhupā na thā
shahr-e-wafa mein apna koi aashna na tha
main tha akela sath koi rahnuma na tha
rudad-e-ahd-e-rafta sunai thi main ne jab
aansu kisi ki aankh mein Thahra hua na tha
suraj tha apni fahm ka aisa bujha bujha
jaise ki raushni ka use tajraba na tha
jangal mein aarzu ke bhaTakta tha ek gada
yaad us ko apne shahr-e-aman ka pata na tha
main to azal se waqt ke zindan mein qaid tha
duniya-e-rang-o-bu se koi rabta na tha
sincha tha main ne nahr-e-guman se yaqin ka aab
lekin hunar ke khet mein pauda uga na tha
aaina apne KHwab-e-hasin ka tha ru-ba-ru
chehra magar zamir ka mujh se chhupa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.