shahr-e-wahshat ko KHwab-gar to mile
shahr-e-vahshat ko ḳhvāb-gar to mile
aa.ine se mirī nazar to mile
ghar meñ saaya to Thiik haiñ lekin
dhuup dīvār ke udhar to mile
maiñ kahīñ aur de to duuñ dastak
par mujhe aur koī dar to mile
vo mere din kī bhī zarūrat hai
varna ik shaḳhs raat bhar to mile
dekhne vaalā kyā kare āḳhir
Dūbne vaalā haath bhar to mile
shahr-e-wahshat ko KHwab-gar to mile
aaine se meri nazar to mile
ghar mein saya to Thik hain lekin
dhup diwar ke udhar to mile
main kahin aur de to dun dastak
par mujhe aur koi dar to mile
wo mere din ki bhi zarurat hai
warna ek shaKHs raat bhar to mile
dekhne wala kya kare aaKHir
Dubne wala hath bhar to mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.