shahr-e-wahshat meri tanhai mujhe wapas kar
shahr-e-vahshat mirī tanhā.ī mujhe vāpas kar
haañ tujhī se kahā harjā.ī mujhe vāpas kar
merī bujhtī huī āñkhoñ kā sabab hai tū hī
mujh ko chhū kar mirī bīnā.ī mujhe vāpas kar
merī peshānī pe rakhe hue bose apne
poñchh le jā mirī dānā.ī mujhe vāpas kar
terī nafrat tire ḳhanjar hoñ mubārak tujh ko
maiñ masīhā thā masīhā.ī mujhe vāpas kar
us ne jaate hue kyā-kyā na kahā par mujh ko
bas yahī baat samajh aa.ī mujhe vāpas kar
mauj-e-ḳhūñ sar se guzarne kī ghaḌī aa.ī hai
zaḳhm kahtā hai ye purvā.ī mujhe vāpas kar
shahr-e-wahshat meri tanhai mujhe wapas kar
han tujhi se kaha harjai mujhe wapas kar
meri bujhti hui aankhon ka sabab hai tu hi
mujh ko chhu kar meri binai mujhe wapas kar
meri peshani pe rakhe hue bose apne
ponchh le ja meri danai mujhe wapas kar
teri nafrat tere KHanjar hon mubarak tujh ko
main masiha tha masihai mujhe wapas kar
us ne jate hue kya-kya na kaha par mujh ko
bas yahi baat samajh aai mujhe wapas kar
mauj-e-KHun sar se guzarne ki ghaDi aai hai
zaKHm kahta hai ye purwai mujhe wapas kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.