shahr ka shahr jaanta hai mujhe
shahr kā shahr jāntā hai mujhe
shahr ke shahr se gila hai mujhe
merā bas ek hī Thikānā hai
maiñ kahāñ jā.ūñgā patā hai mujhe
raushnī meñ kahīñ ugal degā
merā saaya nigal gayā hai mujhe
ban gayā huuñ gunāh kī tasvīr
koī chhup chhup ke dekhtā hai mujhe
rāste bhī to so ga.e hoñge
apne bistar pe jāgnā hai mujhe
us kī bāteñ samajh rahā huuñ maiñ
vo bhī lafzoñ meñ taultā hai mujhe
ye natīja hai āgahī kā 'shakīl'
aaj kal ik junūn sā hai mujhe
shahr ka shahr jaanta hai mujhe
shahr ke shahr se gila hai mujhe
mera bas ek hi Thikana hai
main kahan jaunga pata hai mujhe
raushni mein kahin ugal dega
mera saya nigal gaya hai mujhe
ban gaya hun gunah ki taswir
koi chhup chhup ke dekhta hai mujhe
raste bhi to so gae honge
apne bistar pe jagna hai mujhe
us ki baaten samajh raha hun main
wo bhi lafzon mein taulta hai mujhe
ye natija hai aagahi ka 'shakil'
aaj kal ek junun sa hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.