shahr ke log jise teri sitam-zai kahen
shahr ke log jise terī sitam-zā.ī kaheñ
ham bahar-hāl use apnī pazīrā.ī kaheñ
tere ahbāb hameñ ġhair samajhte hī rahe
tere dushman hameñ ab tak tirā shaidā.ī kaheñ
ye sharaf bhī tirī chāhat meñ milā hai ham ko
tere sab chāhne vaale hameñ saudā.ī kaheñ
ham sajāte haiñ shab-o-roz tire zikr ke saath
ham qafas meñ bhī vahī naġhma-e-sahrā.ī kaheñ
laakh TuuTe haiñ suroñ par tirī ulfat meñ pahāḌ
tere dīvāne pahāḌoñ ko magar raa.ī kaheñ
tujh ko shikva hai yahāñ aa ke tujhe bhuul ga.e
ham bhalā kis se qafas meñ ġham-e-tanhā.ī kaheñ
ham ne chāhā tujhe zindāñ kī salāḳhoñ ke evaz
ise nādānī kaheñ yā ise dānā.ī kaheñ
shahr ke log jise teri sitam-zai kahen
hum bahar-haal use apni pazirai kahen
tere ahbab hamein ghair samajhte hi rahe
tere dushman hamein ab tak tera shaidai kahen
ye sharaf bhi teri chahat mein mila hai hum ko
tere sab chahne wale hamein saudai kahen
hum sajate hain shab-o-roz tere zikr ke sath
hum qafas mein bhi wahi naghma-e-sahrai kahen
lakh TuTe hain suron par teri ulfat mein pahaD
tere diwane pahaDon ko magar rai kahen
tujh ko shikwa hai yahan aa ke tujhe bhul gae
hum bhala kis se qafas mein gham-e-tanhai kahen
hum ne chaha tujhe zindan ki salaKHon ke ewaz
ise nadani kahen ya ise danai kahen
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 533)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.