shahr ki bhiD se bhagun to hai sahra darpesh
shahr kī bhiiḌ se bhāgūñ to hai sahrā darpesh
naf' ke naam pe ik aur ḳhasārā darpesh
dasht-e-be-rang se niklā huuñ to ghar sāmne hai
yā'nī tanhā.ī ko ik aur ḳharāba darpesh
shukr kartā thā ki bādal se dhueñ ke guzrā
ab hai ik aag ugaltā huā dariyā dar-pesh
lafz ko chīrūñ to ik murda sadāqat maujūd
aañkh kholūñ to hai martā huā lamha darpesh
biite manzar abhī bisre bhī nahīñ aur yahāñ
ek ik gaam pe sad-hashr-e-tamāshā darpesh
aa.ina sauñp rahā hai mirā chehra mujh ko
jis se bhāgā thā ye dil hai vahī duniyā darpesh
shahr ki bhiD se bhagun to hai sahra darpesh
naf' ke nam pe ek aur KHasara darpesh
dasht-e-be-rang se nikla hun to ghar samne hai
ya'ni tanhai ko ek aur KHaraba darpesh
shukr karta tha ki baadal se dhuen ke guzra
ab hai ek aag ugalta hua dariya dar-pesh
lafz ko chirun to ek murda sadaqat maujud
aankh kholun to hai marta hua lamha darpesh
bite manzar abhi bisre bhi nahin aur yahan
ek ek gam pe sad-hashr-e-tamasha darpesh
aaina saunp raha hai mera chehra mujh ko
jis se bhaga tha ye dil hai wahi duniya darpesh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.