shahr ki galiyan ghum rahi hain mere qadam ke sath
shahr kī galiyāñ ghuum rahī haiñ mere qadam ke saath
aise safar meñ itnī thakan meñ kaise kaTegī raat
ḳhvāb meñ jaise ghar se nikal kar ghuum rahā ho koī
raat meñ aksar yuuñ bhī phirī hai tere liye ik zaat
chand bagūle ḳhushk zamīn par aur havā.eñ tez
is sahrā meñ kaisī bahāreñ kaisī bharī barsāt
shor machā.eñ bastī bastī soch rahe the aap
dekhā kin kin vīrānoñ meñ le ke ga.e hālāt
shahr ki galiyan ghum rahi hain mere qadam ke sath
aise safar mein itni thakan mein kaise kaTegi raat
KHwab mein jaise ghar se nikal kar ghum raha ho koi
raat mein aksar yun bhi phiri hai tere liye ek zat
chand bagule KHushk zamin par aur hawaen tez
is sahra mein kaisi bahaaren kaisi bhari barsat
shor machaen basti basti soch rahe the aap
dekha kin kin viranon mein le ke gae haalat
- Book : chhaar khnvaab (Pg. 130)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.