shahr ki likh gaya ek dhuan dastan
shahr kī likh gayā ik dhuāñ dāstāñ
bām-o-dar ho ga.e ḳhūñ-chakāñ dāstāñ
sunñe vāloñ ko ho jab girāñ dāstāñ
chhoḌ do phir vahīñ ho jahāñ dāstāñ
ek hī sab kī rūdād hai shahr meñ
har makīñ dāstāñ har makāñ dāstāñ
ye to maazī ke aurāq batlā.eñge
us ne fardā kī likkhī kahāñ dāstāñ
merā aur us kā har raaz ifshā huā
jag meñ kahtā phirā rāzdāñ dāstāñ
dasht-o-sahrā bhī ham-rāh chalne lage
jab sunātā chalā sārbāñ dāstāñ
tū 'vafā' nukta-chīnoñ kī mahfil meñ hai
mat sunā jā.egī rā.egāñ dāstāñ
shahr ki likh gaya ek dhuan dastan
baam-o-dar ho gae KHun-chakan dastan
sunne walon ko ho jab giran dastan
chhoD do phir wahin ho jahan dastan
ek hi sab ki rudad hai shahr mein
har makin dastan har makan dastan
ye to mazi ke auraq batlaenge
us ne farda ki likkhi kahan dastan
mera aur us ka har raaz ifsha hua
jag mein kahta phira raazdan dastan
dasht-o-sahra bhi ham-rah chalne lage
jab sunata chala sarban dastan
tu 'wafa' nukta-chinon ki mahfil mein hai
mat suna jaegi raegan dastan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.