shahr ki rasm hai purani wahi
shahr kī rasm hai purānī vahī
sāzisheñ taaza haiñ kahānī vahī
dard ke mausamoñ se kyā ummīd
sab balā.eñ haiñ āsmānī vahī
phir se khīñcho hifāzatoñ ke hisār
phir hai dariyāoñ kī ravānī vahī
ham faqīroñ ke hausle dekho
zaḳhm jitne hoñ sargirānī vahī
saare āsār haiñ judā.ī ke
surma.ī shaam hai suhānī vahī
ḳhaar bo.e to zaḳhm pāleñge
vaqt dohrā.egā kahānī vahī
yuuñ to sadiyāñ guzar ga.iiñ 'qaisar'
dil ke sadme tirī javānī vahī
shahr ki rasm hai purani wahi
sazishen taza hain kahani wahi
dard ke mausamon se kya ummid
sab balaen hain aasmani wahi
phir se khincho hifazaton ke hisar
phir hai dariyaon ki rawani wahi
hum faqiron ke hausle dekho
zaKHm jitne hon sargirani wahi
sare aasar hain judai ke
surmai sham hai suhani wahi
KHar boe to zaKHm palenge
waqt dohraega kahani wahi
yun to sadiyan guzar gain 'qaisar'
dil ke sadme teri jawani wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.