shahr ki rut badalne wali hai
shahr kī rut badalne vaalī hai
koī sūrat nikalne vaalī hai
aas kā āftāb chamkā hai
ye siyah raat Dhalne vaalī hai
ab murādoñ ko puurī kar bhī de
ab tamanna machalne vaalī hai
furqat-e-shab hai aur ham haiñ bas
dard kī sham.a jalne vaalī hai
ye sadā-e-jaras hai sub.h kī dost
jo añdherā nigalne vaalī hai
ishq meñ saath mil gayā hai ab
har balā sar se Talne vaalī hai
rang sūraj kā le ke bādal se
ab 'shafaq' bhī nikalne vaalī hai
shahr ki rut badalne wali hai
koi surat nikalne wali hai
aas ka aaftab chamka hai
ye siyah raat Dhalne wali hai
ab muradon ko puri kar bhi de
ab tamanna machalne wali hai
furqat-e-shab hai aur hum hain bas
dard ki shama jalne wali hai
ye sada-e-jaras hai subh ki dost
jo andhera nigalne wali hai
ishq mein sath mil gaya hai ab
har bala sar se Talne wali hai
rang suraj ka le ke baadal se
ab 'shafaq' bhi nikalne wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.