shahr kī vīrāniyoñ se Dar ga.e
apnī hī tanhā.iyoñ se Dar ga.e
chehre jin ke the in āñkhoñ kā sukūñ
un kī hī parchhā.iyoñ se Dar ga.e
ban ke nādāñ jab rahe aayā maza
logoñ kī dānā.iyoñ se Dar ga.e
ab se ham jazbāt meñ hoñge bayāñ
qāfiya-paimā.iyoñ se Dar ga.e
jī kare āñkhoñ pe paTTī bāñdh luuñ
had-bañdhī bīnā.iyoñ se Dar ga.e
ab hai chāhat jā ke sahrā meñ jalūñ
mausamī purvā.iyoñ se Dar ga.e
shahr ki viraniyon se Dar gae
apni hi tanhaiyon se Dar gae
chehre jin ke the in aankhon ka sukun
un ki hi parchhaiyon se Dar gae
ban ke nadan jab rahe aaya maza
logon ki danaiyon se Dar gae
ab se hum jazbaat mein honge bayan
qafiya-paimaiyon se Dar gae
ji kare aankhon pe paTTi bandh lun
had-bandhi binaiyon se Dar gae
ab hai chahat ja ke sahra mein jalun
mausami purwaiyon se Dar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.