shahr ko chhoD do aur ganw ko jao tum bhi
shahr ko chhoḌ do aur gaañv ko jaao tum bhī
is ta.alluq ke takalluf ko uThāo tum bhī
aag jañgal meñ bhaḌak jā.egī kal shaam talak
aaj bādal ko adāoñ se lubhāo tum bhī
dūsre chehre mujhe kam haiñ rifāqat ke liye
merī ḳhātir koī chehra to sajāo tum bhī
maiñ kahīñ sabza-e-ḳhud-rau kī tarah ug aa.uuñ
aur vahīñ phuul kī sūrat nikal aao tum bhī
mere hāthoñ meñ tire naam kī koī rekhā
tere hāthoñ meñ na aa.ī ho dikhāo tum bhī
chāñd ko rok diyā maiñ ne in hāthoñ meñ 'suhail'
tum mujhe rok lo jaadū ye dikhāo tum bhī
shahr ko chhoD do aur ganw ko jao tum bhi
is talluq ke takalluf ko uThao tum bhi
aag jangal mein bhaDak jaegi kal sham talak
aaj baadal ko adaon se lubhao tum bhi
dusre chehre mujhe kam hain rifaqat ke liye
meri KHatir koi chehra to sajao tum bhi
main kahin sabza-e-KHud-rau ki tarah ug aaun
aur wahin phul ki surat nikal aao tum bhi
mere hathon mein tere nam ki koi rekha
tere hathon mein na aai ho dikhao tum bhi
chand ko rok diya main ne in hathon mein 'suhail'
tum mujhe rok lo jadu ye dikhao tum bhi
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 63)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.