shahr mein aa gae kya log bayabanon ke
shahr meñ aa ga.e kyā log bayābānoñ ke
karb meñ ho ga.e gum qahqahe armānoñ ke
tum ne dekhe nahīñ jazboñ ke falak-bos shajar
shab kī tārīkī meñ jalte hue dālānoñ ke
ham se qaa.em hai tire lafzoñ kā ye shīrāza
ham se kirdār bane haiñ tire afsānoñ ke
kyoñ mujhe dukh mirā auroñ se judā lagtā hai
dukh agar hote haiñ sab ek se insānoñ ke
kaise aa.egī tire jism kī ḳhushbū mujh tak
khiḌkiyāñ hotī na darvāze haiñ zindānoñ ke
ab 'duā' kis kī umīdoñ ke sahāre pe ji.eñ
TukḌe to dekh liye ḳhvāb meñ gul-dānoñ ke
shahr mein aa gae kya log bayabanon ke
karb mein ho gae gum qahqahe armanon ke
tum ne dekhe nahin jazbon ke falak-bos shajar
shab ki tariki mein jalte hue dalanon ke
hum se qaem hai tere lafzon ka ye shiraaza
hum se kirdar bane hain tere afsanon ke
kyon mujhe dukh mera auron se juda lagta hai
dukh agar hote hain sab ek se insanon ke
kaise aaegi tere jism ki KHushbu mujh tak
khiDkiyan hoti na darwaze hain zindanon ke
ab 'dua' kis ki umidon ke sahaare pe jien
TukDe to dekh liye KHwab mein gul-danon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.