shahr mein aa hi gae hain to guzara kar len
shahr meñ aa hī ga.e haiñ to guzārā kar leñ
ab bahar-hāl har ik shai ko gavārā kar leñ
DhūñDte hī rahe ghar meñ koī khiḌkī na milī
ham ne chāhā jo kabhī un kā nazāra kar leñ
apnī tanhā.ī kā ehsās adhūrā hai abhī
ā.īna toḌ deñ saa.e se kinārā kar leñ
apne jalte hue ehsās meñ tapte tapte
mom ban jaa.eñ yā apne ko sharāra kar leñ
zindagī tum se ibārat hai merī jaañ lekin
phir bhī hasrat hai yahī zikr tumhārā kar leñ
shahr mein aa hi gae hain to guzara kar len
ab bahar-haal har ek shai ko gawara kar len
DhunDte hi rahe ghar mein koi khiDki na mili
hum ne chaha jo kabhi un ka nazara kar len
apni tanhai ka ehsas adhura hai abhi
aaina toD den sae se kinara kar len
apne jalte hue ehsas mein tapte tapte
mom ban jaen ya apne ko sharara kar len
zindagi tum se ibarat hai meri jaan lekin
phir bhi hasrat hai yahi zikr tumhaara kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.