shahr mein dariya-dili ki lan-tarani aur hai
shahr meñ dariyā-dilī kī lan-tarānī aur hai
par mire panghaT se bahtā hai jo paanī aur hai
jo tirī paslī se niklī thī vo koī aur thī
ye jo āñgan meñ khilī hai shab kī raanī aur hai
ārzū-e-rañg meñ korī chunariyā kho ga.ī
mil ga.ī vāpas jo vo mailī nishānī aur hai
chimniyoñ se jo dhuāñ uTThā thā shāyad ḳhvāb thā
band darvāzoñ ke pīchhe kī kahānī aur hai
shahr mein dariya-dili ki lan-tarani aur hai
par mere panghaT se bahta hai jo pani aur hai
jo teri pasli se nikli thi wo koi aur thi
ye jo aangan mein khili hai shab ki rani aur hai
aarzu-e-rang mein kori chunariya kho gai
mil gai wapas jo wo maili nishani aur hai
chimniyon se jo dhuan uTTha tha shayad KHwab tha
band darwazon ke pichhe ki kahani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.