shahr mein hazrat-e-dil chaak-e-gareban kaisa
shahr mein hazrat-e-dil chaak-e-gareban kaisa
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
shahr meñ hazrat-e-dil chāk-e-garebāñ kaisā
hosh meñ aao bhalā ghar meñ bayābāñ kaisā
khul ga.e zaḳhm ḳhayāl-e-lab-e-ḳhandāñ kaisā
aur baḌh jaa.e agar dard to darmāñ kaisā
qat.a jaama huā dāman ke qarīñ chaak sile
dekhiye rahtā hai andāz-e-garebāñ kaisā
dil jigar se hai alag aur jigar jaañ se alag
aaj ek majma.a kā majma.a hai pareshāñ kaisā
ḳhāk-e-āshiq hai ki uTh uTh ke qadam letī hai
aur vo jaatā hai uThā.e hue dāmāñ kaisā
mai-kashoñ kā hai ḳhudā hāfiz-o-nāsir har dam
kashtī-e-mai ke liye nuuh kā tūfāñ kaisā
dil meñ kuchh ishq-e-sanam til ke barābar hī sahī
kufr itnā bhī na ho jis meñ musalmāñ kaisā
muzhda ai dast-e-junūñ jaama abhī baaqī hai
chāk-e-dāman se nikal aaya garebāñ kaisā
ho chukā hashr qayāmat kā zamāna guzrā
thā ilāhī but-e-bad-ahd kā paimāñ kaisā
'sho.ala' piirī meñ kisī zulf kā saudā kyā ḳhuub
sub.h ke vaqt hai ye ḳhvāb-e-pareshāñ kaisā
shahr mein hazrat-e-dil chaak-e-gareban kaisa
hosh mein aao bhala ghar mein bayaban kaisa
khul gae zaKHm KHayal-e-lab-e-KHandan kaisa
aur baDh jae agar dard to darman kaisa
qata jama hua daman ke qarin chaak sile
dekhiye rahta hai andaz-e-gareban kaisa
dil jigar se hai alag aur jigar jaan se alag
aaj ek majma ka majma hai pareshan kaisa
KHak-e-ashiq hai ki uTh uTh ke qadam leti hai
aur wo jata hai uThae hue daman kaisa
mai-kashon ka hai KHuda hafiz-o-nasir har dam
kashti-e-mai ke liye nuh ka tufan kaisa
dil mein kuchh ishq-e-sanam til ke barabar hi sahi
kufr itna bhi na ho jis mein musalman kaisa
muzhda ai dast-e-junun jama abhi baqi hai
chaak-e-daman se nikal aaya gareban kaisa
ho chuka hashr qayamat ka zamana guzra
tha ilahi but-e-bad-ahd ka paiman kaisa
'shoala' piri mein kisi zulf ka sauda kya KHub
subh ke waqt hai ye KHwab-e-pareshan kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.