shahr mein kya udas karta hai
shahr meñ kyā udaas kartā hai
shahr saarā udaas kartā hai
yaad karne ke dukh na the itne
bhuul jaanā udaas kartā hai
us kī āñkhoñ meñ dekh luuñ to mujhe
ek dariyā udaas kartā hai
kuchh bhī kahnā na kahne jaisā hai
kuchh bhī kahnā udaas kartā hai
tū samāyā vajūd meñ aise
terā honā udaas kartā hai
shahr mein kya udas karta hai
shahr sara udas karta hai
yaad karne ke dukh na the itne
bhul jaana udas karta hai
us ki aankhon mein dekh lun to mujhe
ek dariya udas karta hai
kuchh bhi kahna na kahne jaisa hai
kuchh bhi kahna udas karta hai
tu samaya wajud mein aise
tera hona udas karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.