shahr mein milte hain mushkil se kahin chaar kandhe bhi uThane ke liye
shahr mein milte hain mushkil se kahin chaar kandhe bhi uThane ke liye
Sada Ambalvi
MORE BYSada Ambalvi
shahr meñ milte haiñ mushkil se kahīñ chaar kāñdhe bhī uThāne ke liye
gaañv meñ gaañv kā gaañv aatā hai saath shamshān ko jaane ke liye
gaañv lauTā na dulārā maañ kā kar ke tā'līm mukammal apnī
khet sab rakh diye girvī apne baap ne jis ko paḌhāne ke liye
īñT-patthar kī imārat kā kyā kuchh hī din meñ hai khaḌī ho jaatī
'umr lag jaatī hai lekin yaaro ghar ko ghar jaisā banāne ke liye
shahr meñ amn bahālī ke liye aaj T.v pe hai kī jis ne appeal
kal usī ne to ishāra thā kiyā aag bastī meñ lagāne ke liye
dostī gar nahīñ mumkin na sahī dushmanī kis liye paalī jaa.e
dil se dil milnā zarūrī to nahīñ haath se haath milāne ke liye
dekhnā vo bhī na luT jaa.e kahīñ chor jo chhoḌ ga.e haiñ baaqī
ai 'sadā' soch ke jaanā to zarā rapaT thāne meñ likhāne ke liye
shahr mein milte hain mushkil se kahin chaar kandhe bhi uThane ke liye
ganw mein ganw ka ganw aata hai sath shamshan ko jaane ke liye
ganw lauTa na dulara man ka kar ke ta'lim mukammal apni
khet sab rakh diye girwi apne bap ne jis ko paDhane ke liye
inT-patthar ki imarat ka kya kuchh hi din mein hai khaDi ho jati
'umr lag jati hai lekin yaro ghar ko ghar jaisa banane ke liye
shahr mein amn bahaali ke liye aaj Tw pe hai ki jis ne appeal
kal usi ne to ishaara tha kiya aag basti mein lagane ke liye
dosti gar nahin mumkin na sahi dushmani kis liye pali jae
dil se dil milna zaruri to nahin hath se hath milane ke liye
dekhna wo bhi na luT jae kahin chor jo chhoD gae hain baqi
ai 'sada' soch ke jaana to zara rapaT thane mein likhane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.