shahr mein sare charaghon ki ziya KHamosh hai
shahr meñ saare charāġhoñ kī ziyā ḳhāmosh hai
tīrgī har samt phailā kar havā ḳhāmosh hai
sub.h ko phir shor ke ham-rāh chalnā hai use
raat meñ yuuñ dil dhaḌakne kī sadā ḳhāmosh hai
kaisā sannāTā thā jis meñ lafz-e-kun kahne ke ba.ad
gumbad-e-aflāk meñ ab tak ḳhudā ḳhāmosh hai
kuchh batātā hī nahīñ guzrī hai kyā pardes meñ
apne ghar ko lauTtā ek qāfila ḳhāmosh hai
uTh rahī hai merī miTTī se sadā-e-al-atash
ḳhālī mashkīza liye apnā ghaTā ḳhāmosh hai
shahr mein sare charaghon ki ziya KHamosh hai
tirgi har samt phaila kar hawa KHamosh hai
subh ko phir shor ke ham-rah chalna hai use
raat mein yun dil dhaDakne ki sada KHamosh hai
kaisa sannaTa tha jis mein lafz-e-kun kahne ke baad
gumbad-e-aflak mein ab tak KHuda KHamosh hai
kuchh batata hi nahin guzri hai kya pardes mein
apne ghar ko lauTta ek qafila KHamosh hai
uTh rahi hai meri miTTi se sada-e-al-atash
KHali mashkiza liye apna ghaTa KHamosh hai
- Book : NAQSH-E-PA HAWAON KE (Pg. 53)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.