shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu
shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
shahr meñ thā na tire husn kā ye shor kabhū
misr is jins se itnā na thā māmūr kabhū
ishq meñ daad na chāho ki sunā ham ne nahīñ
adl o insāf kā is mulk meñ dastūr kabhū
fikr marham kā mire vāste mat kar nāseh
ḳhuub hotā nahīñ is ishq kā nāsūr kabhū
go na kar vaada vafā de na mujhe us kā javāb
mujh se milnā bhī sajan hai tujhe manzūr kabhū
apnī bedardī kī saugand hai tujh ko ai marg
tū ne dekhā hai 'yaqīñ' sā koī ranjūr kabhū
shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu
misr is jins se itna na tha mamur kabhu
ishq mein dad na chaho ki suna hum ne nahin
adl o insaf ka is mulk mein dastur kabhu
fikr marham ka mere waste mat kar naseh
KHub hota nahin is ishq ka nasur kabhu
go na kar wada wafa de na mujhe us ka jawab
mujh se milna bhi sajan hai tujhe manzur kabhu
apni bedardi ki saugand hai tujh ko ai marg
tu ne dekha hai 'yaqin' sa koi ranjur kabhu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.