shahr mera hujra-e-afat hai
shahr merā hujra-e-āfāt hai
sar pe sūraj aur ghar meñ raat hai
surḳh the chehre badan shādāb the
ye abhī do-chār din kī baat hai
phūTne hī vaalā hai chashma yahāñ
saarī duniyā arsa-e-arfāt hai
vo to hai bechain milne ke liye
darmiyāñ ḳhud merī apnī zaat hai
maiñ huuñ 'anjum' āfiyāt-e-nīm-shab
mujh se bargashta añdherī raat hai
shahr mera hujra-e-afat hai
sar pe suraj aur ghar mein raat hai
surKH the chehre badan shadab the
ye abhi do-chaar din ki baat hai
phuTne hi wala hai chashma yahan
sari duniya arsa-e-arfat hai
wo to hai bechain milne ke liye
darmiyan KHud meri apni zat hai
main hun 'anjum' aafiyat-e-nim-shab
mujh se bargashta andheri raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.